PhonePe UPI Pin Set
PhonePe UPI PIN banane ke liye, neeche diye gaye steps follow karein:#1. Sabse pehle, PhonePe application ko open karein.
#2. Home screen par, "Bank Accounts" option par click karein.
#3. Abhi, jis bank account ke liye UPI PIN set karna chahte hai, usko select karein.
#4. Bank account ko select karne ke baad, "Set UPI PIN" option par click karein.
#5. Ab aapko apna debit card ka details provide karna hoga, jaise card number, expiry date, CVV number.
#6. In details ko enter karne ke baad, "Generate OTP" option par click karein.
#7. OTP enter karne ke baad, aapko apna UPI PIN enter karne ke liye kaha jayega.
#8. UPI PIN ko enter karein aur confirm karein.
#9. Ab aapka UPI PIN successfully set ho gaya hai.
Note: UPI PIN set karte samay, dhyaan rakhein ki aapka phone number bank account se registered hona chahiye.
